दुनियादारी और रिश्तेदारी के चक्कर में
लोग कुछ यूँ उलझ करके रह गए हैं
की अपने अरमानों से भी ज्यादा
लोगों को खुश करने में लगे हुए हैं
Duniyadari Aur Rishtedari Ke Chakkar Mein
Log Kuch Yun Ulajh Karke Reh Gaye Hain
Ki Apne Armanon Se Bhi Jyada
Logon Ko Khush Karne Lage Huye Hain
किसीने कहा था ज़िन्दगी कभी कभी रुलाती है
पर आखिरकार ज़िन्दगी जीना सीखा ही देती है
पर कोई मुझसे पूछे तो में उसे समझाऊं
ज़िन्दगी को काटने में और यूँ शायरी बयान करने में कितनी फर्क होती है
Kisine Kaha Tha Zindagi Kabhi Kabhi Rulati Hai
Par Aakhirkhar Zindagi Jeena Sikha Hi Deti Hai
Par Koi Mujhse Pooche Toh Main Usse Samjhaun
Zindagi Ko Kaatne Mein Aur Yun Shayari Bayan Karne Mein Kitni Farq Hoti Hai
0 Comments