यह बारिश की बूंदे खुशियाँ से कम नहीं होती
एक एक बूंद हमारे दिल को सुकून पहुँचाती
हाँ होती होगी मुशकिलें लोगों के लिए
पर मुझे यह मेरी साँसों से भी ज्यादा अहम लगती
Yeh Baarish Ki Boonde Khushiyan Se Kam Nahin Hoti
Ek Ek Boond Humare Dil Ko Sukun Pahunchaati
Haan Hoti Hogi Mushkilein Logon Ke Liye
Par Mujhe Yeh Meri Saanson Se Bhi Jyada Aham Lagti
यह काले मेघ अंधेरा ज़रूर लाए हैं
पर सूखे ज़मीन में एक उम्मीद भी जगाए हैं
Yeh Kaale Megh Andhera Zaroor Laaye Hain
Par Sookhe Zameen Mein Ek Umeed Bhi Jagaye Hain
यह बारिश की बूंदें आँखों को ठंडक पहुँचाती है
भीगी ज़मीन की खुशबू शमा को महका देती है
कुछ अलग नशा है इस मौसम का
जो हर किसी इंसान को खुद से जोड़ लेती है
Yeh Baarish Ki Boondein Aankhon Ko Thandak Pahunchati Hai
Bheegi Zameen Ki Khusboo Shama Ko Mehka Deti Hai
Kuch Alag Nasha Hai Iss Mausam Ka
Jo Har Kisi Insaan Ko Khud Se Jod Leti Hai
बचपन की यादें ताजा कर देता है
जब भी यह घनघोर बादल धरती पे पानी छिड़कता है
दिल को कुछ पल की खुशी
और बचपन के ना होने का एहसास
दोनो एक साथ ही करवा देता है
Bachpan Ki Yaadein Taaza Kar Deta Hai
Jab Bhi Yeh Ghanghor Baadal Dharti Pe Paani Chidakta Hai
Dil Ko Kuch Pal Ki Khushi
Aur Bachpan Ka Naa Hone Ka Ehsaas
Dono Ek Saath Hi Karwa Deta Hai
0 Comments