खयालों की आवाजाही चलती रहनी चाहिए
कभी हँसी के ठहाके तो कभी अश्क़ों का दर्द झलकना चाहिए
एक रंग में खुद को यूँ कैद ना करो
लेखक की सोच को तो हर जज़्बात की परख रहनी चाहिए
Khayalon Ki Aawajahi Chalti Rehni Chahiye
Kabhi Hansi Ke Thahaake Toh Kabhi Ashqon Ka Dard Jhalakna Chahiye
Ek Rang Mein Khud Ko Yun Kaid Naa Karo
Lekhak Ki Soch Ko Toh Har Jazbaat Ki Parakh Rehni Chahiye
यह रात भर जगना कोई बुरी आदत नहीं है
दफ़न हुए जज़्बातों की ज़रूरत है
दिन भर जिन खयालों से जूझता हूँ
उनको भी तो सुकून की चाहत है
Yeh Raat Bhar Jagna Koi Buri Aadat Nahin Hai
Dafn Huye Jazbaaton Ki Zaroorat Hai
Din Bhar Jin Khayalon Se Joozta Hoon
Unko Bhi Toh Sukoon Ki Chahat Hai
बड़े बड़े अल्फ़ाज़ कान को सुनने में अच्छे लगते हैं
पर सरल शब्द ही होते हैं जो दिल को छूते हैं
शब्दों की तलाश में मत उलझिए
क्योंकि पन्नों पर तो जज़्बात उकेरे जाते हैं
Bade Bade Alfaaz Kaan Ko Sunne Mein Accha Lagta Hai
Par Saral Shabd Hi Hote Hain Jo Dil Ko Choote Hain
Shabdon Ki Talaash Mein Mat Ulajhiye
Kyonki Panno Par Toh Jazbaat Ukhere Jaate Hain
0 Comments