दावा करते हैं बुलंदियों को हासिल करने की
पर टूट के बिखर जाते हैं सिर्फ एक ही हार से
खुद की खामियों को ना सुधारके
बस यूँही खफ़ा रहते हैं ज़िन्दगी से
Daava Karte Hain Bulandiyon Ko Haasil Karne Ki
Par Toot Ke Bikhar Jaate Hain Sirf Ek Hi Haar Se
Khud Ki Khamiyon Ko Naa Sudharke
Bas Yunhi Khafa Rehte Hain Zindagi Se
बिखर जाते हैं टूट के वह तारे
जो किसी और के सहारे से लाते हैं अपनी चमक
खैरात में मिली हुई कामयाबी
ज्यादा दिन कर नही पाती ज़िन्दगी को रौनक
Bikhar Jaate Hain Toot Ke Woh Taare
Jo Kisi Aur Ke Sahare Se Laate Hain Apni Chamak
Khairaat Mein Mili Hui Kaamyabi
Jyada Din Kar Nahi Paati Zindagi Ko Raunak


0 Comments