Bhale Mushkil Lage Yeh Safar Tanha Sa
Par Jazbaaton Ke Bojh Tale Aur Naa Dabunga
Aatmasamman Se Kar Li Hai Pakki Wali Dosti
Ab Kisi Ke Bhi Meethi Meethi Baaton Mein Aake Main Naa Fislunga
Ashqon Ke Hawale Karunga Naa Aur Apni Zindagi
Naa Hi Jhooti Muskaan KO Khud Pe Odhunga
Zaroorat Nahi Ab Kisiko Kuch Samjhane Ki
Main Bina Fikr Apne Khwabon Ko Jeene Nikal Padunga
Sab Chal Pade Hain Apne Zidd Ki Naav Pe Hoke Sawar
Isliye Banke Manjhi Main Bhi Apni Tarah Se Zindagi Ka Yeh Dariya Paar Karunga
Sahi Galat Se Hoke Befikr
Main Apni Khushi Ke Liye Lehron Sang Beh Chalunga
Badlunga Naa Apne Tarike Kisi Aur Ke Khaatir
Doosre Ke Hasrat Ke Liye Khud Ka Keemti Waqt Daon Pe Naa Lagaunga
Mita Ke Wazood Befizul Khayalon Ka
Main Har Ek Lamha Poore Shaan Se Khud Ke Liye Jeeunga
0 Comments